Ali Iftikhar Jafri
Ghazal 4
Sher-o-Shayari 4
niind aatī hai magar jaag rahā huuñ sar-e-ḳhvāb
aañkh lagtī hai to ye umr guzar jaanī hai
nind aati hai magar jag raha hun sar-e-KHwab
aankh lagti hai to ye umr guzar jaani hai
-
Share this
- See Ghazal
avvalīñ chaal se aage nahīñ sochā maiñ ne
ziist shatranj kī baazī thī so maiñ haar gayā
awwalin chaal se aage nahin socha main ne
zist shatranj ki bazi thi so main haar gaya
-
Share this
- See Ghazal
kisī kī aañkh kā taarā huā karte the ham bhī to
achānak shaam kā taarā nazar aayā to yaad aayā
kisi ki aankh ka tara hua karte the hum bhi to
achanak sham ka tara nazar aaya to yaad aaya
-
Share this
- See Ghazal
tum kisī sañg pe ab sar ko Tikā kar so jaao
kaun suntā hai shab-e-ġham kā fasānā sar-e-rāh
tum kisi sang pe ab sar ko Tika kar so jao
kaun sunta hai shab-e-gham ka fasana sar-e-rah
-
Share this
- See Ghazal