Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Anas Khan's Photo'

Anas Khan

1983 | Delhi, India

Anas Khan

Doha 72

umr se dhokā khā ga.e parkhā nahīñ zamīr

bachcha bachcha rahā baḌhtā rahā sharīr

umr se dhoka kha gae parkha nahin zamir

bachcha bachcha hi raha baDhta raha sharir

  • Share this

ai satrañgī raushnī kaisī shakl banā.ī

jo rang apnāyā nahīñ vo diyā dikhā.ī

ai satrangi raushni kaisi shakl banai

jo rang apnaya nahin wo hi diya dikhai

  • Share this

apnī zid aag meñ zaḳhmī kiye gulāb

ik vahshī ne Daal kar kaliyoñ par tezāb

apni zid ki aag mein zaKHmi kiye gulab

ek wahshi ne Dal kar kaliyon par tezab

  • Share this

ye duniyā riit hai duniyā diin

jo uupar chaḌhne lage khīñche use zamīn

ye duniya ki rit hai ya duniya ka din

jo upar chaDhne lage khinche use zamin

  • Share this

mullā panDit sab yahāñ karte rahe fareb

soch rahā newton vahāñ girtā kyoñ hai seb

mulla panDit sab yahan karte rahe fareb

soch raha newton wahan girta kyon hai seb

  • Share this

BOOKS 1

 

More Poets From "Delhi"

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now