Sher of Anisa Haroon Sharwaniya
muusā nahīñ ki taab na lā.ūñ maiñ husn kī
be-parda sāmne mire tū bhī to aa ke dekh
musa nahin ki tab na laun main husn ki
be-parda samne mere tu bhi to aa ke dekh
dayār-e-ishq meñ tanhā rahā nahīñ hargiz
ḳhushī ne haath jo chhoḌā to ġham ne thaam liyā
dayar-e-ishq mein tanha raha nahin hargiz
KHushi ne hath jo chhoDa to gham ne tham liya
jaate hī un ke ziist kī sūrat badal ga.ī
allāh itnī der meñ qismat badal ga.ī
jate hi un ke zist ki surat badal gai
allah itni der mein qismat badal gai
un se iz.hār-e-mudda.ā na kiyā
kyā kiyā maiñ ne haa.e kyā na kiyā
un se izhaar-e-muddaa na kiya
kya kiya main ne hae kya na kiya
kyā barbād jin ko vo tamannā.eñ tumhārī thiiñ
na hasrat merī hasrat thī na armāñ merā armāñ thā
kya barbaad jin ko wo tamannaen tumhaari thin
na hasrat meri hasrat thi na arman mera arman tha