Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Anjum Tarazi

Anjum Tarazi

Ghazal 2

 

Sher-o-Shayari 3

ik manzar meñ peḌ the jin par chand kabūtar baiThe the

ik bachche laash bhī thī jis ke kañdhe par bastā thā

ek manzar mein peD the jin par chand kabutar baiThe the

ek bachche ki lash bhi thi jis ke kandhe par basta tha

jis din shahr jalā thā us din dhuup meñ kitnī tezī thī

varna is bastī par 'anjum' bādal roz barastā thā

jis din shahr jala tha us din dhup mein kitni tezi thi

warna is basti par 'anjum' baadal roz barasta tha

sachchā.ī ḳhushbū ramaq tak na thī un meñ

vo log jo bāzār-e-hunar khole hue the

sachchai ki KHushbu ki ramaq tak na thi un mein

wo log jo bazar-e-hunar khole hue the

 

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now