Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Armaan Jodhpuri's Photo'

Armaan Jodhpuri

1994 | Rajasthan, India

Armaan Jodhpuri

Ghazal 19

Sher-o-Shayari 25

saarī duniyā tirī hoñToñ hañsī meñ gum hai

kaun dekhegā mirī aañkh ke paanī taraf

sari duniya teri honTon ki hansi mein gum hai

kaun dekhega meri aankh ke pani ki taraf

  • Share this

pyāsī bahut thiiñ hasrateñ lo aaj mar ga.iiñ

bārish intizār thā vo bhī nahīñ rahā

pyasi bahut thin hasraten lo aaj mar gain

barish ka intizar tha wo bhi nahin raha

  • Share this

zindagī zulf nahīñ thī jo sañvārī jaatī

zindagī aur ulajhtī ga.ī suljhāne meñ

zindagi zulf nahin thi jo sanwari jati

zindagi aur ulajhti gai suljhane mein

  • Share this

āḳhir tire savāl maiñ kyā javāb duuñ

ai mere ham-ḳhayāl zarā sochne to de

aaKHir tere sawal ka main kya jawab dun

ai mere ham-KHayal zara sochne to de

  • Share this

pahle pahle ḳhuub mohabbat ham ne

phir ham donoñ ne ye rasta chhoḌ diyā

pahle pahle KHub mohabbat ki hum ne

phir hum donon ne ye rasta chhoD diya

  • Share this

More Poets From "Rajasthan"

Recitation

Speak Now