aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
1998 | Islamabad, Pakistan
hijr kī jang kā sipāhī huuñ
laḌ rahā huuñ tire firāq se maiñ
hijr ki jang ka sipahi hun
laD raha hun tere firaq se main
kaun huuñ maiñ mujhe nahīñ mā'lūm
kaun ho tum patā lagā rahā huuñ
kaun hun main mujhe nahin ma'lum
kaun ho tum pata laga raha hun
mujhe malāl nahīñ terī bevafā.ī kā
maiñ apne aap se āñkheñ nahīñ milā saktā
mujhe malal nahin teri bewafai ka
main apne aap se aankhen nahin mila sakta
udaas logoñ ke māthoñ ko chūmte rahnā
unhī ki vaj.h se bar-'aks ho ga.e tum log
udas logon ke mathon ko chumte rahna
unhi ki wajh se bar-'aks ho gae tum log
ye kaise log tire ās-pās ghūmte haiñ
inheñ to dekh ke merā dimāġh ghūmtā hai
ye kaise log tere aas-pas ghumte hain
inhen to dekh ke mera dimagh ghumta hai
Nazmagi
You have exhausted 5 free content pages per year. Register and enjoy UNLIMITED access to the whole universe of Urdu Poetry, Rare Books, Language Learning, Sufi Mysticism, and more.
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books