Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Aslam Emadi's Photo'

Aslam Emadi

1948 | Hyderabad, India

Sher of Aslam Emadi

tum mire kamre ke andar jhāñkne aa.e ho kyuuñ

so rahā huuñ chain se huuñ Thiik hai sab Thiik hai

tum mere kamre ke andar jhankne aae ho kyun

so raha hun chain se hun Thik hai sab Thik hai

hazār rāste badle hazār svāñg rache

magar hai raqs meñ sar par ik āsmān vahī

hazar raste badle hazar swang rache

magar hai raqs mein sar par ek aasman wahi

unheñ ye fikr ki dil ko kahāñ chhupā rakkheñ

hameñ ye shauq ki dil ḳhasāra kyūñkar ho

unhen ye fikr ki dil ko kahan chhupa rakkhen

hamein ye shauq ki dil ka KHasara kyunkar ho

ham bhī 'aslam' isī gumān meñ haiñ

ham ne bhī koī zindagī thī

hum bhi 'aslam' isi guman mein hain

hum ne bhi koi zindagi ji thi

havā.eñ shahr ālūda-e-kasāfat haiñ

ye sāf-suthrā-pan aur ye nafāsateñ jhūTī

hawaen shahr ki aaluda-e-kasafat hain

ye saf-suthra-pan aur ye nafasaten jhuTi

tumhāre dard se jaage to un qadr khulī

vagarna pahle bhī apne the jism-o-jān vahī

tumhaare dard se jage to un ki qadr khuli

wagarna pahle bhi apne the jism-o-jaan wahi

namī utar ga.ī dhartī meñ tah-ba-tah 'aslam'

bahār-e-ashk na.ī rut ibtidā meñ hai

nami utar gai dharti mein tah-ba-tah 'aslam'

bahaar-e-ashk nai rut ki ibtida mein hai

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now