Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Azhar Naiyyar's Photo'

Azhar Naiyyar

1945 | Darbhanga, India

Poet, Storyteller

Poet, Storyteller

Azhar Naiyyar

Ghazal 13

Sher-o-Shayari 5

tum bahr-e-mohabbat ke kināre pe khaḌe the

tum ne mirī āñkhoñ meñ samundar nahīñ dekhā

tum bahr-e-mohabbat ke kinare pe khaDe the

tum ne meri aankhon mein samundar nahin dekha

ba-vaqt-e-shām samundar meñ gir gayā sūraj

tamām din thakan se niDhāl aisā thā

ba-waqt-e-sham samundar mein gir gaya suraj

tamam din ki thakan se niDhaal aisa tha

dil ḳhaak huā pyaar is aag meñ jal kar

aur jhāñk ke us ne kabhī andar nahīñ dekhā

dil KHak hua pyar ki is aag mein jal kar

aur jhank ke us ne kabhi andar nahin dekha

thī us band muTThī meñ chiTThī dabī huī

jo shaḳhs thā train ke nīche kaTā huā

thi us ki band muTThi mein chiTThi dabi hui

jo shaKHs tha train ke niche kaTa hua

chāhā hai jis saaya shajar vo babūl hai

qismat meñ mere aaj bhī saḌkoñ dhuul hai

chaha hai jis ka saya shajar wo babul hai

qismat mein mere aaj bhi saDkon ki dhul hai

  • Share this

BOOKS 2

 

More Poets From "Darbhanga"

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now