Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Bakul Dev's Photo'

Bakul Dev

1980 | Jaipur, India

A new age Indian poet

A new age Indian poet

Bakul Dev

Ghazal 21

Sher-o-Shayari 20

havas shāmil hai thoḌī duā meñ

abhī is lau meñ halkā dhuāñ hai

hawas shamil hai thoDi si dua mein

abhi is lau mein halka sa dhuan hai

shaam utrī hai phir ahāte meñ

jism par raushnī ke ghaav liye

sham utri hai phir ahate mein

jism par raushni ke ghaw liye

vahī aañsū vahī maazī ke qisse

jise dekho kaTe ko kāTtā hai

wahi aansu wahi mazi ke qisse

jise dekho kaTe ko kaTta hai

muskurāne fan to ba.ad hai

pahle saa.at intiḳhāb karo

muskurane ka fan to baad ka hai

pahle saat ka intiKHab karo

ta.alluq tark to kar leñ sabhī se

bhale lagte haiñ kuchh nuqsān lekin

talluq tark to kar len sabhi se

bhale lagte hain kuchh nuqsan lekin

RELATED Blog

 

More Poets From "Jaipur"

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now