Sher of Bandar ibn-e-Raqim
kuchh aisī ban ga.ī tasvīr us ke dast-e-qudrat se
rahā hairāñ banā kar aap sūrat-āfrīñ barsoñ
kuchh aisi ban gai taswir us ke dast-e-qudrat se
raha hairan bana kar aap surat-afrin barson
itnā hī chāhtā huuñ ki maiñ aur andalīb
aapas meñ dard-e-dil kaheñ Tuk baiTh kar kahīñ
itna hi chahta hun ki main aur andalib
aapas mein dard-e-dil kahen Tuk baiTh kar kahin
sunā kis ne haal merā ki juuñ abr vo na royā
rakhe hai magar ye qissa asar-e-duā-e-bārāñ
suna kis ne haal mera ki jun abr wo na roya
rakhe hai magar ye qissa asar-e-dua-e-baran
ai bāġhbāñ nahīñ tire gulshan se kuchh ġharaz
mujh se qasam le chheḌūñ agar barg-o-bar kahīñ
ai baghban nahin tere gulshan se kuchh gharaz
mujh se qasam le chheDun agar barg-o-bar kahin