Sher of Barq Dehlvi
din-rāt paḌā rahtā huuñ darvāze pe apne
is ġham meñ ki koī kabhī aatā thā idhar se
din-raat paDa rahta hun darwaze pe apne
is gham mein ki koi kabhi aata tha idhar se
shab-e-furqat nazar aate nahīñ āsār-e-sahar
itnī zulmat hai ruḳh-e-sham.a pe bhī nuur nahīñ
shab-e-furqat nazar aate nahin aasar-e-sahar
itni zulmat hai ruKH-e-shama pe bhi nur nahin
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
sar-ba-kaf hind ke jāñ-bāz-e-vatan laḌte haiñ
teġh-e-nau le saf-e-dushman meñ ghuse paḌte haiñ
sar-ba-kaf hind ke jaan-baz-e-watan laDte hain
tegh-e-nau le saf-e-dushman mein ghuse paDte hain
-
Tag : Deshbhakti
rahegā kis kā hissa beshtar mere miTāne meñ
ye bāham faisla pahle zamīn o āsmāñ kar leñ
rahega kis ka hissa beshtar mere miTane mein
ye baham faisla pahle zamin o aasman kar len
tere dīdār se maiñ aañkh uThā.ūñ kyūñkar
zulf se pā-e-nazar halqa-e-zanjīr meñ hai
tere didar se main aankh uThaun kyunkar
zulf se pa-e-nazar halqa-e-zanjir mein hai