Dohe of Bekal Utsahi
tum bin chāñd na dekh sakā TuuT ga.ī ummīd
bin darpan bin nain ke kaise manā.eñ eid
tum bin chand na dekh saka TuT gai ummid
bin darpan bin nain ke kaise manaen eid
paise kī bauchhār meñ log rahe hamdard
biit ga.ī barsāt jab mausam ho gayā sard
paise ki bauchhaar mein log rahe hamdard
bit gai barsat jab mausam ho gaya sard
amrit ras kī biin par zahr ke naġhme gaao
marham se muskān ke zaḳhmoñ ko uksāo
amrit ras ki bin par zahr ke naghme gao
marham se muskan ke zaKHmon ko uksao
train chalī to chal paḌe khetoñ ke sab jhaaḌ
bhaag rahe haiñ saath hī jañgal aur pahāḌ
train chali to chal paDe kheton ke sab jhaD
bhag rahe hain sath hi jangal aur pahaD
nashtar chāhe phuul se barf se māñge ḳhuun
dhuup khilā.e chāñd ko andhe kā qānūn
nashtar chahe phul se barf se mange KHun
dhup khilae chand ko andhe ka qanun
'bekal'-jī kis fikr meñ baiThe ho man maar
kāġhaz kī ik oT hai zindāñ kī dīvār
'bekal'-ji kis fikr mein baiThe ho man mar
kaghaz ki ek oT hai zindan ki diwar