Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Devang Thakur's Photo'

Devang Thakur

1997

One of the emerging poets of this generation, also recognized as a social media influencer

One of the emerging poets of this generation, also recognized as a social media influencer

Devang Thakur

Ghazal 9

Sher-o-Shayari 10

milnā hai terī ruuh se ham ko badan baġhair

apnā libās-e-jism utāre hue haiñ ham

milna hai teri ruh se hum ko badan baghair

apna libas-e-jism utare hue hain hum

  • Share this

sab ko batā diyā ki maiñ behad udaas huuñ

itnī baat ko bhī ḳhabar kar diyā gayā

sab ko bata diya ki main behad udas hun

itni si baat ko bhi KHabar kar diya gaya

  • Share this

sar paTak kar dekhnā hai ek baar

'ishq ko patthar kahā thā 'mīr' ne

sar paTak kar dekhna hai ek bar

'ishq ko patthar kaha tha 'mir' ne

  • Share this

tumheñ dekhtā huuñ so zinda huuñ maiñ

mujhe saañs aatī hai āñkhoñ se ab

tumhein dekhta hun so zinda hun main

mujhe sans aati hai aankhon se ab

  • Share this

us ke dil se nikle to ham ḳhud ke dil tak aa pahuñche

aanā jaanā hotā rahtā hai apnā vīrānoñ meñ

us ke dil se nikle to hum KHud ke dil tak aa pahunche

aana jaana hota rahta hai apna viranon mein

  • Share this

Recitation

Speak Now