Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Dharmesh Solanki's Photo'

Dharmesh Solanki

Jamnagar, India

Dharmesh Solanki

Ghazal 7

Sher-o-Shayari 9

bichhaḌne vaale jin meñ phir se mil jaa.eñ

vo filmeñ dekhnī hī chhoḌ dī haiñ

bichhaDne wale jin mein phir se mil jaen

wo filmen dekhni hi chhoD di hain

  • Share this

bārish ke din nazar yahāñ pal bhar na aatā maiñ

vo mere saath hotī to daftar na aatā maiñ

barish ke din nazar yahan pal bhar na aata main

wo mere sath hoti to daftar na aata main

  • Share this

tujh se shab bhar kalām karne ko

ek tasvīr terī kaafī hai

tujh se shab bhar kalam karne ko

ek taswir teri kafi hai

  • Share this

pahle to barbādiyoñ kā jashn honā chāhiye

baa'd meñ ārām se achchhe se ronā chāhiye

pahle to barbaadiyon ka jashn hona chahiye

ba'd mein aaram se achchhe se rona chahiye

  • Share this

'umr bhar apne usūloñ pe hī chaltā aayā

sab girāte rahe mujh ko maiñ sañbhaltā aayā

'umr bhar apne usulon pe hi chalta aaya

sab giraate rahe mujh ko main sanbhalta aaya

  • Share this

Recitation

Speak Now