Farah Khan
Ghazal 7
Sher-o-Shayari 8
us kā milnā hai ajab tarah kā mujh se milnā
dasht-e-imkān meñ ho phūloñ kā jaise khilnā
us ka milna hai ajab tarah ka mujh se milna
dasht-e-imkan mein ho phulon ka jaise khilna
- Add to favorites
-
Share this
mil hī jāoge mujhe vaqt kī gardish se pare
bas zarā jism kī dīvār girānī hogī
mil hi jaoge mujhe waqt ki gardish se pare
bas zara jism ki diwar girani hogi
- Add to favorites
-
Share this
ham bhuul ga.e ahd-o-karam tere sitam bhī
ab tujh se zamāne se gila kuchh bhī nahīñ hai
hum bhul gae ahd-o-karam tere sitam bhi
ab tujh se zamane se gila kuchh bhi nahin hai
- Add to favorites
-
Share this
nahīñ nasīb meñ manzil to rāste kyoñ haiñ
tavīl-tar ye judā.ī ke silsile kyoñ haiñ
nahin nasib mein manzil to raste kyon hain
tawil-tar ye judai ke silsile kyon hain
- Add to favorites
-
Share this
had-e-imkāñ se pare tak maiñ tujhe chāhūñgī
tū mujhe apne mayassar kī hadoñ meñ milnā
had-e-imkan se pare tak main tujhe chahungi
tu mujhe apne mayassar ki hadon mein milna
- Add to favorites
-
Share this