Gulam Yahya Huzur Azimabadi
Ghazal 21
Sher-o-Shayari 30
kabhī haath bhī aa.egā yaar sach kah
yā yūñhī tū bāteñ banātā rahegā
kabhi hath bhi aaega yar sach kah
ya yunhi tu baaten banata rahega
- Add to favorites
-
Share this
yaar gar pūchhe to kiije kuchh arz
baat par baat kahī jaatī hai
yar gar puchhe to kije kuchh arz
baat par baat kahi jati hai
- Add to favorites
-
Share this
adā ko tirī merā jī jāntā hai
harīf apnā har koī pahchāntā hai
ada ko teri mera ji jaanta hai
harif apna har koi pahchanta hai
- Add to favorites
-
Share this
diin o duniyā kā jo nahīñ pāband
vo farāġhat tamām rakhtā hai
din o duniya ka jo nahin paband
wo faraghat tamam rakhta hai
- Add to favorites
-
Share this
kab is jī kī hālat koī jāntā hai
jo jī jāntā hai so jī jāntā hai
kab is ji ki haalat koi jaanta hai
jo ji jaanta hai so ji jaanta hai
- Add to favorites
-
Share this