Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Habeeb Hashmi's Photo'

Habeeb Hashmi

Kolkata, India

Sher of Habeeb Hashmi

na maiñ ḳhasta-hāl hotā na ye ajnabī se lagte

ye hasīñ hasīñ farishte mujhe aadmī se lagte

na main KHasta-haal hota na ye ajnabi se lagte

ye hasin hasin farishte mujhe aadmi se lagte

har shab-e-ġham sahar ho ye zarūrī hai magar

sab tābinda sahar ho ye zarūrī to nahīñ

har shab-e-gham ki sahar ho ye zaruri hai magar

sab ki tabinda sahar ho ye zaruri to nahin

safar āḳhirī manzil meñ paas aayā hai

tamām umr thā jo duur āsmāñ tarah

safar ki aaKHiri manzil mein pas aaya hai

tamam umr tha jo dur aasman ki tarah

sarhad-e-dasht se ābādī ko jaane vaalo

shahar meñ aur bhī ḳhūñ-rez nazāre hoñge

sarhad-e-dasht se aabaadi ko jaane walo

shahar mein aur bhi KHun-rez nazare honge

shab tanhā.ī meñ ubhrī huī āvāz-e-jaras

sub.h-gā.ī gajar ho ye zarūrī to nahīñ

shab ki tanhai mein ubhri hui aawaz-e-jaras

subh-gai ka gajar ho ye zaruri to nahin

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now