Habeeb Hyderabadi
Ghazal 2
Sher-o-Shayari 3
aage nikal ga.e the zarā apne-āp se
ham ko 'habīb' ḳhud kī taraf lauTnā paḌā
aage nikal gae the zara apne-ap se
hum ko 'habib' KHud ki taraf lauTna paDa
-
Share this
- See Ghazal
'habīb' is zindagī ke pech-o-ḳham se ham bhī nālāñ haiñ
hameñ jhūTe nagīnoñ kī chamak bhātī nahīñ shāyad
'habib' is zindagi ke pech-o-KHam se hum bhi nalan hain
hamein jhuTe naginon ki chamak bhati nahin shayad
-
Share this
- See Ghazal
insān kī bulandī o pastī ko dekh kar
insāñ kahāñ khaḌā hai hameñ sochnā paḌā
insan ki bulandi o pasti ko dekh kar
insan kahan khaDa hai hamein sochna paDa
-
Share this
- See Ghazal
Image Shayari 1
ham ahl-e-aarzuu pe ajab vaqt aa pa.Daa har har qadam pe khel nayaa khelnaa pa.Daa apnaa hii shahr ham ko ba.Daa ajnabii lagaa apne hii ghar kaa ham ko pata puuchhnaa pa.Daa insaan kii bulandii o pastii ko dekh kar insaa.n kahaa.n kha.Daa hai hame.n sochnaa pa.Daa maanaa ki hai faraar magar dil ko kyaa kare.n maazii kii yaad hii me.n hame.n Duubnaa pa.Daa majbuuriyaa.n hayaat kii jab had se ba.Dh ga.ii.n har aarzuu ko paa.nv-tale ro.ndnaa pa.Daa aage nikal ga.e the zaraa apne-aap se ham ko 'habiib' KHud kii taraf lauTnaa pa.Daa