Sher of Hasan Kazmi
do chaar din ke zulm nahīñ haiñ yazīd ke
piite haiñ log aaj bhī paanī ḳharīd ke
do chaar din ke zulm nahin hain yazid ke
pite hain log aaj bhi pani KHarid ke
sab mire chāhne vaale haiñ mirā koī nahīñ
maiñ bhī is mulk meñ urdu kī tarah rahtā huuñ
sab mere chahne wale hain mera koi nahin
main bhi is mulk mein urdu ki tarah rahta hun
ḳhūbsūrat haiñ āñkheñ tirī raat ko jāgnā chhoḌ de
ḳhud-ba-ḳhud niiñd aa jā.egī tū mujhe sochnā chhoḌ de
KHubsurat hain aankhen teri raat ko jagna chhoD de
KHud-ba-KHud nind aa jaegi tu mujhe sochna chhoD de