Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Haseebul Hasan's Photo'

Haseebul Hasan

1995 | Khushab, Pakistan

Haseebul Hasan

Ghazal 32

Sher-o-Shayari 33

huzūr aap takalluf meñ kyoñ paḌe hue haiñ

mare huoñ ke janam-din nahīñ manātā koī

huzur aap takalluf mein kyon paDe hue hain

mare huon ke janam-din nahin manata koi

  • Share this

laakh mīThe hoñ tire shahr ke chashme lekin

ham tire shahr ko ḳhush-āb nahīñ kah sakte

lakh miThe hon tere shahr ke chashme lekin

hum tere shahr ko KHush-ab nahin kah sakte

  • Share this

qasam hai tere taġhāful tujh se pahle mujhe

nahīñ pata thā ki ehsās-e-kamtarī kyā hai

qasam hai tere taghaful ki tujh se pahle mujhe

nahin pata tha ki ehsas-e-kamtari kya hai

  • Share this

tumhāre husn sadqa utarnā lāzmī hai

so yuuñ karo kisī bachche ko māthā chūmne do

tumhaare husn ka sadqa utarna lazmi hai

so yun karo kisi bachche ko matha chumne do

  • Share this

pāgal kiyā hai ishq ne aadhā jo rah gayā

ab aadhe sar ke dard puurā marīz huuñ

pagal kiya hai ishq ne aadha jo rah gaya

ab aadhe sar ke dard ka pura mariz hun

More Poets From "Khushab"

 

Recitation

Speak Now