Sher of Ishrat Bareilvi
us kī tasvīr meñ ḳhūñ-rezī ke sab chaav nikāl
ai musavvir mirī gardan pe ka.ī ghaav nikāl
us ki taswir mein KHun-rezi ke sab chaw nikal
ai musawwir meri gardan pe kai ghaw nikal
sharār-e-ġham se tire alam meñ ye mere dil ke haiñ daaġh raushan
kare divālī ko jaise aalam tamām ghar meñ charāġh raushan
sharar-e-gham se tere alam mein ye mere dil ke hain dagh raushan
kare diwali ko jaise aalam tamam ghar mein charagh raushan
us rashk-e-chaman ke ta.iiñ gar dekhne pā.ūñ
marne se jo bach jā.ūñ to phūlā na samā.ūñ
us rashk-e-chaman ke tain gar dekhne paun
marne se jo bach jaun to phula na samaun
kiyā jo pahle hī daaġh dil ko maiñ us ke ġham meñ to ishq bolā
charāġh raushan murād hāsil murād hāsil charāġh raushan
kiya jo pahle hi dagh dil ko main us ke gham mein to ishq bola
charagh raushan murad hasil murad hasil charagh raushan