Sher of Kamal Hatvi
havā se kah do ki yuuñ ḳhud ko aazmā ke dikhā.e
bahut charāġh bujhātī hai ik jalā ke dikhā.e
hawa se kah do ki yun KHud ko aazma ke dikhae
bahut charagh bujhati hai ek jala ke dikhae
bichhaḌ jaane kā ġham tauba are tauba are tauba
ye vo hai jo ki dīmak kī tarah sab chaaT jaatā hai
bichhaD jaane ka gham tauba are tauba are tauba
ye wo hai jo ki dimak ki tarah sab chaT jata hai
nazar āñkhoñ kī gum sī ho rahī hai
ki ab tum bas sunā.ī de rahe ho
nazar aankhon ki gum si ho rahi hai
ki ab tum bas sunai de rahe ho