Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Mahmood Ahmad Hashmi's Photo'

Mahmood Ahmad Hashmi

- 1914 | Pakistan

Mahmood Ahmad Hashmi

Sher-o-Shayari 46

bārah ghanToñ hai ik raat jo Taltī nahīñ

hijr bhī ain december meñ milā hai mujh ko

barah ghanTon ki hai ek raat jo Talti hi nahin

hijr bhi ain december mein mila hai mujh ko

  • Share this

mere sheroñ se mirī umr andāza kar

mujh se mat pūchh mirā yaum-e-vilādat kyā hai

mere sheron se meri umr ka andaza kar

mujh se mat puchh mera yaum-e-wiladat kya hai

  • Share this

maiñ nahīñ māntā kāġhaz pe likhā shajra-e-nasab

baat karne se qabīle pata chaltā hai

main nahin manta kaghaz pe likha shajra-e-nasab

baat karne se qabile ka pata chalta hai

  • Share this

beTe masrūf rahe maal ke baTvāre meñ

beTiyāñ baap mayyat se lipaT kar roiiñ

beTe masruf rahe mal ke baTware mein

beTiyan bap ki mayyat se lipaT kar roin

  • Share this

shā.irī ilm-o-hunar maz.hab siyāsat baad meñ

sab se pahle aadmī insān honā chāhiye

shairi ilm-o-hunar mazhab siyasat baad mein

sab se pahle aadmi insan hona chahiye

  • Share this

Recitation

Speak Now