Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Manzar Suhai's Photo'

Manzar Suhai

1993 | Allahabd, India

Manzar Suhai

Ghazal 24

Nazm 1

 

Sher-o-Shayari 22

laḌkā na koī phir se ho barbād dahr meñ

tujh par na jaa.eñ beTiyāñ terī ḳhudā kare

laDka na koi phir se ho barbaad dahr mein

tujh par na jaen beTiyan teri KHuda kare

  • Share this

mirī nigāh ko gar terī diid ho jaa.e

qasam ḳhudā mirī iid iid ho jaa.e

meri nigah ko gar teri did ho jae

qasam KHuda ki meri id id ho jae

  • Share this

ik baar meñ mirā qissa tamām kar

qistoñ meñ kar rahā hai bhalā qatl kyoñ mujhe

ek bar mein hi tu mera qissa tamam kar

qiston mein kar raha hai bhala qatl kyon mujhe

  • Share this

kuchh to insāf kar banī-ādam har nafī shai ko haqīr na jaan

tīrgī raushnī se pahle thī ḳhaar phūloñ se pahle aa.e haiñ

kuchh to insaf kar bani-adam har nafi shai ko tu haqir na jaan

tirgi raushni se pahle thi KHar phulon se pahle aae hain

  • Share this

misl-e-mausam jo badalte to koī baat na thī

ne to badlā hai girgiT tarah rang apnā

misl-e-mausam jo badalte to koi baat na thi

tu ne to badla hai girgiT ki tarah rang apna

  • Share this

More Poets From "Allahabd"

Recitation

Speak Now