aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
1999 | Rampur, India
jab bhī chūmā hai tire hoñToñ ko
jism se un ko judā jaanā hai
jab bhi chuma hai tere honTon ko
jism se un ko juda jaana hai
aaj tasvīr us kī dekhī hai
aaj phir niiñd kā ziyāñ hogā
aaj taswir us ki dekhi hai
aaj phir nind ka ziyan hoga
afsos mujh ko chhoḌ ke jaane se peshtar
vo jā chukā thā mujh ko ḳhabar baa'd meñ huī
afsos mujh ko chhoD ke jaane se peshtar
wo ja chuka tha mujh ko KHabar ba'd mein hui
tire hoñToñ kī surḳhī dekh kar to aisā lagtā hai
chabāyā hai kisī 'āshiq kā dil hinda-mizājī se
tere honTon ki surKHi dekh kar to aisa lagta hai
chabaya hai kisi 'ashiq ka dil hinda-mizaji se
vahī sab log 'ashraf' āstīñ ke saañp nikle haiñ
jinheñ shāmil samajhte the tum apne ḳhair-ḳhvāhoñ meñ
wahi sab log 'ashraf' aastin ke sanp nikle hain
jinhen shamil samajhte the tum apne KHair-KHwahon mein
You have exhausted 5 free content pages per year. Register and enjoy UNLIMITED access to the whole universe of Urdu Poetry, Rare Books, Language Learning, Sufi Mysticism, and more.
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books