Sher of Meer Ziauddin Zia
kaun se zaḳhm kā khulā Tāñkā
aaj phir dil meñ dard hotā hai
kaun se zaKHm ka khula Tanka
aaj phir dil mein dard hota hai
bhuul kar bhī kabhī na yaad kiyā
ham tire jī se aise bhuul ga.e
bhul kar bhi kabhi na yaad kiya
hum tere ji se aise bhul gae
rusvā.iyoñ kī apnī mujhe kuchh havas nahīñ
nāseh pa kyā karūñ ki mirā dil pe bas nahīñ
ruswaiyon ki apni mujhe kuchh hawas nahin
naseh pa kya karun ki mera dil pe bas nahin
jam.a kar ke dard saare tū ne paidā dil kiyā
kah tū ai dast-e-qazā is se kyā hāsil kiyā
jama kar ke dard sare tu ne paida dil kiya
kah tu ai dast-e-qaza is se kya hasil kiya