Minhaj Ali
Ghazal 2
Sher-o-Shayari 6
gulshan-e-dahr se ḳhushbū kī tarah guzrā maiñ
sab ko mahkāyā magar apnī numā.ish nahīñ kī
gulshan-e-dahr se KHushbu ki tarah guzra main
sab ko mahkaya magar apni numaish nahin ki
- Add to favorites
-
Share this
yahī hai vaqt ki jī bhar ke dekh luuñ us ko
vo sāmne hai magar dekhtā nahīñ hai mujhe
yahi hai waqt ki ji bhar ke dekh lun us ko
wo samne hai magar dekhta nahin hai mujhe
- Add to favorites
-
Share this
dīdār kā visāl meñ aayā na koī lutf
us ruḳh pe be-ruḳhī ke the parde paḌe hue
didar ka visal mein aaya na koi lutf
us ruKH pe be-ruKHi ke the parde paDe hue
- Add to favorites
-
Share this
darmiyāñ garche hijābāt nahīñ duurī ke
ab jo haa.il hai vo parda hai shanāsā.ī kā
darmiyan garche hijabaat nahin duri ke
ab jo hail hai wo parda hai shanasai ka
- Add to favorites
-
Share this
bajā ki raunaq-e-mahfil abhī uruuj pe hai
maiñ kyā karūñ mirī ḳhalvat bulā rahī hai mujhe
baja ki raunaq-e-mahfil abhi uruj pe hai
main kya karun meri KHalwat bula rahi hai mujhe
- Add to favorites
-
Share this