Mirza Altaf Husain Alim Lucknowi
Ghazal 19
Nazm 2
BOOKS 14
Image Shayari 1
nuuh kaa tuufaan ik aa.nsuu se barpaa kiijiye jii me.n aataa hai ki ab qatre ko dariyaa kiijiye be-KHabar ban jaa.iye yaa ahd puuraa kiijiye jis tarah se aap kaa jii chaahe achchhaa kiijiye iisii-e-dauraa.n sahii lekin ko.ii shaahid bhii ho ham abhii to jii uThe.nge aap ishaaraa kiijiye ho chukaa honaa thaa jo kuchh jaa.iye bas jaa.iye marne vaale ko na ab lillaah rusvaa kiijiye phir zaraa jhalkii dikhaa kar ik zaraa chhup jaa.iye dil ke har zarre me.n aabaad ek duniyaa kiijiye dil hamaaraa hai ham is ke hai.n azal se raaz-daar aap KHud aa kar sar-e-baazaar rusvaa kiijiye kaun kahtaa hai ki in qisso.n ko phir dohraa.iye dil kii aabaadii miTaa kar zikr-e-sahraa kiijiye raazdaarii ishq me.n 'aalim' nahii.n chhoTii sii baat dil hii dil me.n sochtaa rahtaa huu.n ab kyaa kiijiye