Mohammad Naazir Ali Naazir
Sher-o-Shayari 8
asīrān-e-qafas par zulm to sayyād karte haiñ
ki un ke par katar lete haiñ tab āzād karte haiñ
asiran-e-qafas par zulm to sayyaad karte hain
ki un ke par katar lete hain tab aazad karte hain
- Add to favorites
-
Share this
ḳhudā kī shaan ki ham ko uThā ke mahfil se
raqīb baiThe haiñ zaanū tirā dabā.e hue
KHuda ki shan ki hum ko uTha ke mahfil se
raqib baiThe hain zanu tera dabae hue
- Add to favorites
-
Share this
kūcha-e-yār meñ jaane kī kabhī ḳhū na ga.ī
Thokareñ khā ke bhī sambhle na sambhalne vaale
kucha-e-yar mein jaane ki kabhi KHu na gai
Thokaren kha ke bhi sambhle na sambhalne wale
- Add to favorites
-
Share this
umañgoñ par hai ab un kī javānī
ḳhush aa.e kyuuñ na itrānā kisī kā
umangon par hai ab un ki jawani
KHush aae kyun na itrana kisi ka
- Add to favorites
-
Share this
hai ye tākīd ki ham ko na satā.e koī
kaise phir un ko kaleje se lagā.e koī
hai ye takid ki hum ko na satae koi
kaise phir un ko kaleje se lagae koi
- Add to favorites
-
Share this