Sher of Mohammad Zubair Roohi Allahabadi
tirī yaad meñ thī vo be-ḳhudī ki na fikr-e-nāma-barī rahī
mirī vo nigārish-e-shauq bhī kahīñ taaq hī pe dharī rahī
teri yaad mein thi wo be-KHudi ki na fikr-e-nama-bari rahi
meri wo nigarish-e-shauq bhi kahin taq hi pe dhari rahi
ga.ī fasl-e-gul to na gul rahe na guloñ kī jāma-darī rahī
na vo rañg-o-bū kī fazā rahī na chaman kī jalvagarī rahī
gai fasl-e-gul to na gul rahe na gulon ki jama-dari rahi
na wo rang-o-bu ki faza rahi na chaman ki jalwagari rahi