Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Moid Rahbar Lakhnavi's Photo'

Moid Rahbar Lakhnavi

1985 | Lucknow, India

Moid Rahbar Lakhnavi

Ghazal 10

Sher-o-Shayari 34

anā-parast huuñ mil jā.ūñ ḳhaak meñ lekin

ḳharīd saktā nahīñ koī maal zar se mujhe

ana-parast hun mil jaun KHak mein lekin

KHarid sakta nahin koi mal zar se mujhe

  • Share this

gar kuchh nahīñ hai yaar tire paas ġham to hai

ḳhush-nasīb hai ki tirī aañkh nam to hai

gar kuchh nahin hai yar tere pas gham to hai

tu KHush-nasib hai ki teri aankh nam to hai

  • Share this

ham musāfir haiñ kahāñ ghar taraf dekhte haiñ

har ghaḌī miil ke patthar taraf dekhte haiñ

hum musafir hain kahan ghar ki taraf dekhte hain

har ghaDi mil ke patthar ki taraf dekhte hain

  • Share this

aaj dekhā unheñ jab zamāne ke baad

aañkh nam ho ga.ī muskurāne ke baad

aaj dekha unhen jab zamane ke baad

aankh nam ho gai muskurane ke baad

  • Share this

raho ghar meñ ziyāda to safar āvāz detā hai

safar meñ jab nikal jaao to ghar āvāz detā hai

raho ghar mein ziyaada to safar aawaz deta hai

safar mein jab nikal jao to ghar aawaz deta hai

  • Share this

Rubai 12

BOOKS 1

 

More Poets From "Lucknow"

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now