Dohe of Moinuddin Shaheen Ajmeri
suunā āñgan dekh ke jab bhī jī ghabrā.e
ik saaya anjān sā mujh ko gale lagā.e
suna aangan dekh ke jab bhi ji ghabrae
ek saya anjaan sa mujh ko gale lagae
maiñ chandā tū chāñdnī maiñ bhañvrā tū phuul
donoñ hī bad-nām haiñ donoñ hī maqbūl
main chanda tu chandni main bhanwra tu phul
donon hi bad-nam hain donon hi maqbul
ḳhāmoshī ko toḌ deñ aao uThā.eñ saaz
dīvāroñ ke biich se aatī hai āvāz
KHamoshi ko toD den aao uThaen saz
diwaron ke bich se aati hai aawaz
kaaT sake to kaaT de yādoñ kī zanjīr
varna baḌhtī jā.egī tere man kī piir
kaT sake to kaT de yaadon ki zanjir
warna baDhti jaegi tere man ki pir