Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Nadeem ahmad's Photo'

Nadeem ahmad

1979 | Kolkata, India

Critic & Poet

Critic & Poet

Sher of Nadeem ahmad

kuchh dinoñ dasht bhī ābād huā chāhtā hai

kuchh dinoñ ke liye ab shahr ko vīrānī de

kuchh dinon dasht bhi aabaad hua chahta hai

kuchh dinon ke liye ab shahr ko virani de

ishq meñ ḳhair thā junūñ lāzim

ab koī dūsrā hunar bhī karūñ

ishq mein KHair tha junun lazim

ab koi dusra hunar bhi karun

kabhī to yuuñ ki makāñ ke makīñ nahīñ hote

kabhī kabhī to makīñ makāñ nahīñ hotā

kabhi to yun ki makan ke makin nahin hote

kabhi kabhi to makin ka makan nahin hota

ma.alūm nahīñ niiñd kise kahte haiñ lekin

kartā to huuñ ik kaam maiñ sone tarah

malum nahin nind kise kahte hain lekin

karta to hun ek kaam main sone ki tarah ka

dil shajar to aur bhī palne aaḌ meñ

murjhā gayā hai phūlne-phalne ke naam par

dil ka shajar to aur bhi palne ki aaD mein

murjha gaya hai phulne-phalne ke nam par

kabhī to lagtā hai ye uzr-e-lañg hai varna

mujhe to kufr ne islām par lagāyā huā hai

kabhi to lagta hai ye uzr-e-lang hai warna

mujhe to kufr ne islam par lagaya hua hai

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now