Sher of Nazish Partap Gadhi
javāno nazr de do apne ḳhūn-e-dil kā har qatra
likhā jā.egā hindostān ko farmān-e-āzādī
jawano nazr de do apne KHun-e-dil ka har qatra
likha jaega hindostan ko farman-e-azadi
na hogā rā.egāñ ḳhūn-e-shahīdān-e-vatan hargiz
yahī surḳhī banegī ek din unvān-e-āzādī
na hoga raegan KHun-e-shahidan-e-watan hargiz
yahi surKHi banegi ek din unwan-e-azadi
tah bah tah jamtī chalī jaatī hai sannāToñ kī gard
hāl-e-dil sab dekhte haiñ pūchhtā koī nahīñ
tah bah tah jamti chali jati hai sannaTon ki gard
haal-e-dil sab dekhte hain puchhta koi nahin
ḳhudā ai kaash 'nāzish' jīte-jī vo vaqt bhī laa.e
ki jab hindostān kahlā.egā hindostān-e-āzādī
KHuda ai kash 'nazish' jite-ji wo waqt bhi lae
ki jab hindostan kahlaega hindostan-e-azadi
-
Tag : Deshbhakti