Dohe of Nisar Jairajpuri
jaate jaate ye samay yādeñ kuchh de jaa.e
pinjre se mainā uḌī parchhā.īñ rah jaa.e
jate jate ye samay yaaden kuchh de jae
pinjre se maina uDi parchhain rah jae
sone se kartā phire hai tū us kā mol
tū kyā jaane bāvare maaTī hai anmol
sone se karta phire hai tu us ka mol
tu kya jaane baware maTi hai anmol
tanhā bachā sakegā kaise khātā phire thapeḌ
ro.e baiThā moḌ par bargad kā ek peḌ
tanha bacha sakega kaise khata phire thapeD
roe baiTha moD par bargad ka ek peD
rain baserā aaj yaañ kal hogā kis or
kuchh tujh ko ma.alūm hai aane vaale bhor
rain basera aaj yan kal hoga kis or
kuchh tujh ko malum hai aane wale bhor