aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
1991 | Kasur, Pakistan
hamāre baa'd bhī tum qahqahe lagāte ho
tumhāre baa'd to ham baat bhī nahīñ karte
hamare ba'd bhi tum qahqahe lagate ho
tumhaare ba'd to hum baat bhi nahin karte
maiñ kaaTā jā.ūñgā sab ko 'azīz hote hue
saḌak ke biich meñ aayā huā daraḳht huuñ maiñ
main kaTa jaunga sab ko 'aziz hote hue
saDak ke bich mein aaya hua daraKHt hun main
maiñ ki mahrūm thā āvāz kī rā'nā.ī se
tum jo aa.e ho to ehsās bhī sun saktā huuñ
main ki mahrum tha aawaz ki ra'nai se
tum jo aae ho to ehsas bhi sun sakta hun
mujh pe khultā na kabhī lafz-e-mohabbat maiñ ne
maañ ko dekhā to samajh aa.ī mohabbat kyā hai
mujh pe khulta na kabhi lafz-e-mohabbat main ne
man ko dekha to samajh aai mohabbat kya hai
zeb detā hai use itnā taġhāful mujh se
vo kahīñ aur bhī masrūf-e-vafā hai shāyad
zeb deta hai use itna taghaful mujh se
wo kahin aur bhi masruf-e-wafa hai shayad
You have exhausted 5 free content pages per year. Register and enjoy UNLIMITED access to the whole universe of Urdu Poetry, Rare Books, Language Learning, Sufi Mysticism, and more.
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books