Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Noon Meem Danish's Photo'

Noon Meem Danish

1958 | New York, USA

Sher of Noon Meem Danish

gardish-e-māh-o-sāl se aage nikal gayā huuñ maiñ

jaise badal ga.e ho tum jaise badal gayā huuñ maiñ

gardish-e-mah-o-sal se aage nikal gaya hun main

jaise badal gae ho tum jaise badal gaya hun main

din to ḳhair guzar jaatā hai

rāteñ pāgal kar detī haiñ

din to KHair guzar jata hai

raaten pagal kar deti hain

ye bhī to jabr-e-vaqt hai mujhe yaad bhī nahīñ

jaise sambhal ga.e ho tum vaise sambhal gayā huuñ maiñ

ye bhi to jabr-e-waqt hai tu mujhe yaad bhi nahin

jaise sambhal gae ho tum waise sambhal gaya hun main

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now