Sher of Noor Qureshi
go aable haiñ paañv meñ phir bhī ai rahravo
manzil kī justujū hai to jaarī rahe safar
go aable hain panw mein phir bhi ai rahrawo
manzil ki justuju hai to jari rahe safar
jo kitāboñ meñ mil nahīñ saktī
dosto aisī dāstāñ haiñ ham
jo kitabon mein mil nahin sakti
dosto aisi dastan hain hum
gāhe-gāhe agar ḳhushī miltī
ġham kā itnā asar nahīñ hotā
gahe-gahe agar KHushi milti
gham ka itna asar nahin hota
zarā ye bhī to dekho hañsne vaalo
ki maiñ kitnī bulandī se girā huuñ
zara ye bhi to dekho hansne walo
ki main kitni bulandi se gira hun
piye jaatā hai insāñ kā lahū tak
ye ahd-e-nau bahut pyāsā lage hai
piye jata hai insan ka lahu tak
ye ahd-e-nau bahut pyasa lage hai