aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Noida, India
ḳhudā kā shukr pareshāniyāñ milīñ ham ko
vagarna bachche hī rahte baḌe na ho paate
KHuda ka shukr pareshaniyan milin hum ko
wagarna bachche hi rahte baDe na ho pate
mire ḳhat ko agar paḌhnā zarā sā ġhaur se paḌhnā
mire ḳhat meñ shikāyat ke 'alāva bhī bahut kuchh hai
mere KHat ko agar paDhna zara sa ghaur se paDhna
mere KHat mein shikayat ke 'alawa bhi bahut kuchh hai
agar na toḌtā baisākhiyāñ hamārī samay
ham apne pairoñ pe shāyad khaḌe na ho paate
agar na toDta baisakhiyan hamari samay
hum apne pairon pe shayad khaDe na ho pate
dekhte haiñ ki mohabbat meñ taraqqī kyā ho
ik barahman ne kahā hai ki ye saal achchhā hai
dekhte hain ki mohabbat mein taraqqi kya ho
ek barahman ne kaha hai ki ye sal achchha hai
mujh se kaise nibhāogī bolo
mere hisse meñ jā.edād nahīñ
mujh se kaise nibhaogi bolo
mere hisse mein jaedad nahin
You have exhausted 5 free content pages per year. Register and enjoy UNLIMITED access to the whole universe of Urdu Poetry, Rare Books, Language Learning, Sufi Mysticism, and more.
Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books