Sher of Raghib Dehlvi
baiThegā to ruk jā.egī ye gardish-e-daurāñ
tū ḳhuuñ kī tarah jism meñ phirne kī adā siikh
baiThega to ruk jaegi ye gardish-e-dauran
tu KHun ki tarah jism mein phirne ki ada sikh
qatroñ se samundar kā banānā nahīñ mushkil
qatre meñ samundar ko samone kī adā siikh
qatron se samundar ka banana nahin mushkil
qatre mein samundar ko samone ki ada sikh
shauq-e-manzil mujhe yuuñ le ke uḌā
ḳhaar dekhe na rahguzar dekhī
shauq-e-manzil mujhe yun le ke uDa
KHar dekhe na rahguzar dekhi
ab dil meñ ārzū-e-chaman hī nahīñ rahī
qisse sune jo ham ne qafas meñ bahār ke
ab dil mein aarzu-e-chaman hi nahin rahi
qisse sune jo hum ne qafas mein bahaar ke
agar chaltā sahāroñ par hī 'rāġhib'
to chalne ke kabhī qābil na hotā
agar chalta sahaaron par hi 'raghib'
to chalne ke kabhi qabil na hota
ye sab māh-o-anjum mire vāste haiñ
magar is zamīñ par maiñ qaid-e-jahāñ huuñ
ye sab mah-o-anjum mere waste hain
magar is zamin par main qaid-e-jahan hun
ḳhayāl-o-vahm hai manzil yahāñ milī hai kise
chalā hai jo bhī usī rahguzar meñ rahtā hai
KHayal-o-wahm hai manzil yahan mili hai kise
chala hai jo bhi usi rahguzar mein rahta hai
aur baḌh jaatā hai dil meñ mire shauq-e-manzil
jab pareshān sī ye gard-e-safar hotī hai
aur baDh jata hai dil mein mere shauq-e-manzil
jab pareshan si ye gard-e-safar hoti hai