join rekhta family!
Ghazal 34
Sher 36
jitnī baTnī thī baT chukī ye zamīñ
ab to bas āsmān baaqī hai
jitni baTni thi baT chuki ye zamin
ab to bas aasman baqi hai
-
Share this
- See Ghazal
-
Tag : Aasman
mire dil ke kisī kone meñ ik ma.asūm sā bachcha
baḌoñ kī dekh kar duniyā baḌā hone se Dartā hai
mere dil ke kisi kone mein ek masum sa bachcha
baDon ki dekh kar duniya baDa hone se Darta hai
-
Share this
- See Ghazal
kis ne paayā sukūn duniyā meñ
zindagānī kā sāmnā kar ke
kis ne paya sukun duniya mein
zindagani ka samna kar ke
-
Share this
- See Ghazal
-
Tag : Sukoon
kisī din zindagānī meñ karishma kyuuñ nahīñ hotā
maiñ har din jaag to jaatā huuñ zinda kyuuñ nahīñ hotā
kisi din zindagani mein karishma kyun nahin hota
main har din jag to jata hun zinda kyun nahin hota
-
Share this
- See Ghazal
Image shayari 6
Videos 18
This video is playing from YouTube