Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Rana Gannauri

1938 | Delhi, India

Rana Gannauri

Ghazal 7

Sher-o-Shayari 16

ḳhud tarāshnā patthar aur ḳhudā banā lenā

aadmī ko aatā hai kyā se kyā banā lenā

KHud tarashna patthar aur KHuda bana lena

aadmi ko aata hai kya se kya bana lena

  • Share this

tumhārī raah meñ āñkheñ bichhā.e baiThā huuñ

tumhāre aane hālāñki koī aas nahīñ

tumhaari rah mein aankhen bichhae baiTha hun

tumhaare aane ki haalanki koi aas nahin

  • Share this

zindagī bhī kiyā bharosā hai

zindagī qasam bhī kyā khā.ūñ

zindagi ka bhi kiya bharosa hai

zindagi ki qasam bhi kya khaun

  • Share this

hamārā dil to ġham meñ bhī ḳhushī mahsūs kartā hai

vahī mushkil meñ rahte haiñ jo ġham ko ġham samajhte haiñ

hamara dil to gham mein bhi KHushi mahsus karta hai

wahi mushkil mein rahte hain jo gham ko gham samajhte hain

  • Share this

har ik hai pasand apnī har ik hai mizāj apnā

vafā mujh ko pasand aa.ī pasand aa.ī jafā us ko

har ek ki hai pasand apni har ek ka hai mizaj apna

wafa mujh ko pasand aai pasand aai jafa us ko

  • Share this

BOOKS 3

 

More Poets From "Delhi"

Recitation

Speak Now