aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
1936 | Pakistan
vo tavajjoh de na de lekin sadā dete raho
apne hone kā use 'rūhī' patā dete raho
wo tawajjoh de na de lekin sada dete raho
apne hone ka use 'ruhi' pata dete raho
pata hotā to na kartā kabhī koī nekī
tumhīñ jannat meñ milogī mujhe ma.alūm na thā
pata hota to na karta kabhi koi neki
tumhin jannat mein milogi mujhe malum na tha
hamārī biivī aur mahñgā.ī donoñ haiñ sagī bahneñ
hamārī jeb kī aksar safā.ī hotī rahtī hai
hamari biwi aur mahngai donon hain sagi bahnen
hamari jeb ki aksar safai hoti rahti hai
kahā laḌke kī ammī ne rahegī ḳhush sadā beTī
ki uupar se bhī laḌke kī kamā.ī hotī rahtī hai
kaha laDke ki ammi ne rahegi KHush sada beTi
ki upar se bhi laDke ki kamai hoti rahti hai
saḳht-jānī meñ bhī niklogī misālī ya.anī
maar kar mujh ko marogī mujhe ma.alūm na thā
saKHt-jaani mein bhi niklogi misali yani
mar kar mujh ko marogi mujhe malum na tha
You have exhausted 5 free content pages per year. Register and enjoy UNLIMITED access to the whole universe of Urdu Poetry, Rare Books, Language Learning, Sufi Mysticism, and more.
Jashn-e-Rekhta 10th Edition | 5-6-7 December Get Tickets Here
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books