Saeed Rahi's Photo'

Saeed Rahi

Saeed Rahi

Ghazal 12

Sher 6

rusvā.ī to vaise bhī taqdīr hai āshiq

zillat bhī milī ham ko ulfat ke fasāne se

ruswai to waise bhi taqdir hai aashiq ki

zillat bhi mili hum ko ulfat ke fasane se

  • Share this

tum nahīñ ġham nahīñ sharāb nahīñ

aisī tanhā.ī javāb nahīñ

tum nahin gham nahin sharab nahin

aisi tanhai ka jawab nahin

  • Share this

dost ban ban ke mile mujh ko miTāne vaale

maiñ ne dekhe haiñ ka.ī rañg zamāne vaale

dost ban ban ke mile mujh ko miTane wale

main ne dekhe hain kai rang zamane wale

  • Share this

mere jaise ban jāoge jab ishq tumheñ ho jā.egā

dīvāroñ se sar Takrāoge jab ishq tumheñ ho jā.egā

mere jaise ban jaoge jab ishq tumhein ho jaega

diwaron se sar Takraoge jab ishq tumhein ho jaega

  • Share this

gaahe gaahe ise paḌhā kījiye

dil se behtar koī kitāb nahīñ

gahe gahe ise paDha kijiye

dil se behtar koi kitab nahin

  • Share this

Videos 3

This video is playing from YouTube

Playing videos from section
Other

Jagjit Singh

mere jaise ban jaa.oge jab ishq tumhe.n ho jaa.egaa

Jagjit Singh

pasiine pasiine hu.e jaa rahe ho

Jagjit Singh