Dohe of Saeed Roshan
guzre vaqtoñ kī tarah mujhe na jaanā bhuul
dil kī kitāb meñ rakkhā hai maiñ ne bhī ik phuul
guzre waqton ki tarah mujhe na jaana bhul
dil ki kitab mein rakkha hai main ne bhi ek phul
khel khel meñ haath se gayā khilaunā chhūT
gayā khilaune kī tarah bachche kā dil TuuT
khel khel mein hath se gaya khilauna chhuT
gaya khilaune ki tarah bachche ka dil TuT
tez havā ne kar diyā paidā phir bikhrāv
patte TūTeñ peḌ se baḌhtā jaa.e lagāv
tez hawa ne kar diya paida phir bikhraw
patte TuTen peD se baDhta jae lagaw
tez havā ne chhīn liyā un kā har ehsās
peḌoñ ke ham-rāh hī saa.e hue udaas
tez hawa ne chhin liya un ka har ehsas
peDon ke ham-rah hi sae hue udas