aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Saghar Jayyadi

1941

Dohe of Saghar Jayyadi

ye bastī hai raḳhnoñ jīvan nahīñ sapāT

ḳhair ke naam pe ai zabāñ shar ke talve chaaT

ye basti hai raKHnon ki jiwan nahin sapaT

KHair ke nam pe ai zaban shar ke talwe chaT

be-daulat ke shahr meñ kaun hai daulat-mand

saarī ḳhilqat asl meñ miTTī paivand

be-daulat ke shahr mein kaun hai daulat-mand

sari KHilqat asl mein miTTi ka paiwand

gaañv gorī dosto jab se huī javān

nis-din baniyā hoñToñ par pher rahā hai zabān

ganw ki gori dosto jab se hui jawan

nis-din baniya honTon par pher raha hai zaban

chauñk uThegī niiñd se aaj har ik shāh-rāh

mulāzimoñ jeb meñ bajtī hai tanḳhvāh

chaunk uThegi nind se aaj har ek shah-rah

mulazimon ki jeb mein bajti hai tanKHwah

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now