aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
1928
vaqt bahut masrūf hai thoḌā vaqt nikāl
ik do saa.at ke liye apnā-āp sambhāl
waqt bahut masruf hai thoDa waqt nikal
ek do saat ke liye apna-ap sambhaal
vaqt baḌā chālāk hai vaqt ke saath chalo
saare din chalte rahiyo saarī raat chalo
waqt baDa chaalak hai waqt ke sath chalo
sare din chalte rahiyo sari raat chalo
koyal aam kī Daal pe baiThī shor machā.e
phuul aayā phal aa ga.e ik tum hī nahīñ aa.e
koyal aam ki Dal pe baiThi shor machae
phul aaya phal aa gae ek tum hi nahin aae
raste meñ ik peḌ par panchhī bol gayā
panchhī kī āvāz se jīvan Dol gayā
raste mein ek peD par panchhi bol gaya
panchhi ki aawaz se jiwan Dol gaya
You have exhausted 5 free content pages per year. Register and enjoy UNLIMITED access to the whole universe of Urdu Poetry, Rare Books, Language Learning, Sufi Mysticism, and more.
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books