Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Seema Ghazal's Photo'

Seema Ghazal

1964 | Karachi, Pakistan

Seema Ghazal

Ghazal 11

Nazm 9

Sher-o-Shayari 9

ḳhud apne-āp se milne ḳhātir

abhī kosoñ mujhe chalnā paḌegā

KHud apne-ap se milne ki KHatir

abhi koson mujhe chalna paDega

  • Share this

ek āvāz maiñ ne sunī thī abhī kaun bolā thā ye to ḳhabar nahīñ

ye ta.alluq zarūrī hai kis ne kahā vo bhī ḳhāmosh thā maiñ bhī ḳhāmosh thī

ek aawaz main ne suni thi abhi kaun bola tha ye to KHabar hi nahin

ye talluq zaruri hai kis ne kaha wo bhi KHamosh tha main bhi KHamosh thi

  • Share this

maiñ ne kahā thā mujh ko añdhere ḳhauf hai

us ne ye sun ke aaj mirā ghar jalā diyā

main ne kaha tha mujh ko andhere ka KHauf hai

us ne ye sun ke aaj mera ghar jala diya

  • Share this

mujh ko us ke nahīñ ḳhud mere havāle karte

kam se kam ye to mire chāhne vaale karte

mujh ko us ke nahin KHud mere hawale karte

kam se kam ye to mere chahne wale karte

  • Share this

jazboñ par jab barf jame to jiinā mushkil hotā hai

dil ke ātish-dān meñ thoḌī aag jalānī paḌtī hai

jazbon par jab barf jame to jina mushkil hota hai

dil ke aatish-dan mein thoDi aag jalani paDti hai

  • Share this

Qita 1

 

BOOKS 3

 

More Poets From "Karachi"

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now