aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Sheen Kaaf Nizam's Photo'

Sheen Kaaf Nizam

1947

Prominent post-modern poet, Sahitya Academy award winner.

Prominent post-modern poet, Sahitya Academy award winner.

Dohe of Sheen Kaaf Nizam

yaad aa.ī pardes meñ us ik ik baat

ghar din din miyāñ ghar raat raat

yaad aai pardes mein us ki ek ek baat

ghar ka din hi din miyan ghar ki raat hi raat

man raftār se bhāgtā jaatā hai kis or

palak jhapakte shaam hai palak jhapakte bhor

man raftar se bhagta jata hai kis or

palak jhapakte sham hai palak jhapakte bhor

ham 'kabīr' is kaal ke khaḌe haiñ ḳhālī haath

sañg kisī ke ham nahīñ aur ham sab ke saath

hum 'kabir' is kal ke khaDe hain KHali hath

sang kisi ke hum nahin aur hum sab ke sath

man meñ dhartī lalak āñkhoñ meñ ākāsh

yaad ke āñgan meñ rahā chehre parkāsh

man mein dharti si lalak aankhon mein aakash

yaad ke aangan mein raha chehre ka parkash

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now