Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Shubham Shab's Photo'

Shubham Shab

Bhopal, India

Shubham Shab

Ghazal 5

 

Sher-o-Shayari 9

maiñ vo to bhuul baiThā huuñ jo mujh ko yaad rakhnā thā

magar jo bhuul jaanā thā mujhe vo yaad hai ab tak

main wo to bhul baiTha hun jo mujh ko yaad rakhna tha

magar jo bhul jaana tha mujhe wo yaad hai ab tak

  • Share this

maañ ḳhush hai ki āḳhir bachche siikh ga.e haiñ ḳhush rahnā

bachche ḳhush haiñ siikh ga.e haiñ dard chhupānā achchhe se

man KHush hai ki aaKHir bachche sikh gae hain KHush rahna

bachche KHush hain sikh gae hain dard chhupana achchhe se

  • Share this

nasha kar leñ nashe kāTeñ manā.eñ hijr yādoñ

hameñ maañ baap ne is vāste thoḌe paalā thā

nasha kar len nashe kaTen manaen hijr yaadon ka

hamein man bap ne is waste thoDe hi pala tha

  • Share this

kisī se tum nahīñ karte koī tum se nahīñ kartā

magar bas baat karne se bahut kuchh Thiik hotā hai

kisi se tum nahin karte koi tum se nahin karta

magar bas baat karne se bahut kuchh Thik hota hai

  • Share this

mujhe nafrat thī jis kirdār se ab tak kahānī meñ

usī kirdār ke marne pe ab rone lagā huuñ maiñ

mujhe nafrat thi jis kirdar se ab tak kahani mein

usi kirdar ke marne pe ab rone laga hun main

  • Share this

More Poets From "Bhopal"

Recitation

Speak Now